Kyun dil main reh-reh kar ik kook si uthti hai
ye kiski kami hai jo humne loot-ti rehti hai
saans leti hun tho zakhmo ko hawa lagti hai
aankhon se baraste ashq un zakhmo ko bharne nahi deti hai
hansi gunaah si lagti hai
Dard use Qusoor-waar tehrati hai
kaisa ye aalam hai
kaisi ye hayaat hai
har soch par ek sawaal hai..
sawaalon ke aandhi main doobi har raat hai….
Aisi bebasi ke aalam mai
kaise khudh par aitbaar karen..
kahan jayen..
fariyaad karen bhi tho kisse karen...
Darr lagta hai ab khudh se
jab tanha paate hain khudh ko
Is gham-zadah halaat main
kahin kho na baithen hum khudh ko....
3 comments:
really awesome lines anu :) and the title is apt... Aandhi :) it portrays the complete gush of feelings :)
beautifully expressed emotions.... ur poetry exudes subtle yet persistent anguish.....
well written....i lyk ur style of writng
Post a Comment