Friday, 7 May 2010

Kyun……....


Koun hun main?
Kyun hun main?
Kya hai meri pehchaan……………………………...


Kyun mujhe tumhara hi intezaar hai?

Kyun tum mere har soch ki shuruat ho
Kyun tum mere khwabon main bas jatey ho
Kyun tum meri rooh main samaye huye ho
Kyun tum mujhe madhosh kar jatey ho
Kyun tum meri dhadkan bane hue ho
Kyun tum meri sanson ko uljha jate ho

Kyun main tumhe hi itna chahun?

Kyun tum mujhe mere itne kareeb lagte ho
Kabhi chedh jatey ho, kabhi ojhal ho jate ho
Kabhi meri dabi muskurahat ban jate ho
Kabhi dil main meethey dard de jate ho
Kabhi aankhon main nami bankar thehar jatey ho
tho kabhi sailaab bankar beh jate ho
Kabhi cheekh banke nikal aate ho
tho kabhi bin-ashq aankhon main sui-si-chuban de jate ho...

Kyun tum meri aadat ban gaye ho?

Kyun tum mujhe dikhai nahi dete
Kyun tum mujhe tadpate ho
Kyun tum mere har khayal main ho
Kyun tum hi meri pehli yaad ho
Kyun tum hi meri jeene ki chah ho

Koun ho tum? Kyun tum meri hasrat ho?

Kyun tumhe chune ka mann kare ..
Kyun tumhe paane ka mann kare ..
Kyun tumhare bahon main bikhar jane ka mann kare ..
Kyun tumhare kandhe sir rakhe sone ka mann kare ..
Kyun tumhe mehsoos karne ka mann kare ..
Kyun tumhari aankhon main zindagi guzarne ka mann kare ..
Kyun tumhare saamne dabe raaz kholne ka mann kare ..
Kyun ye dil tumhare chumban ka pyaasa rahe ..
Kyun dil aaghosh main tumhari rone ko tarasa kare ..
Kyun tumhare bahon main dum todne ka mann kare ..
Kyun tumhare ishq main fanaa hone ko mann kare?

Kyuuuuun………

Koun ho tum? kyun ho tum?
Kyun tum meri zindagi bane hue ho?
Kyun tum mujhse mujhe loot rahe ho?
Kya mera koi astitv nahi?
Kya meri koi pehchaan nahi???

ya.....


KYA "TUM" HI MERI PEHCHAAN HO?!!

Tum hi meri har soch ka anth ho!


The question for each man to settle is not what he would do if he had means, time, influence and educational advantages; the question is what he will do with the things he has. The moment a young man ceases to dream or regret strongly to his lack of opportunities and resolutely looks his conditions in the face, and resolves to change them, he lays the corner-stone of a solid and honorable success.



Hamilton Wright Mabie